Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin

ye baat samajh mein aai nahin

aur ammi ne samjhai nahin

mein kaise miThi baat karun

jab main ne miThai khai nahin

aapi bhi pakati hain halwa

phir wo bhi kyun halwai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

nani ke miyan to nana hain

dadi ke miyan bhi dada hain

jab aapa se main ne ye puchha

baji ke miyan kya baja hain

wo hans hans kar ye kahne lagin

ai bhai nahin ai bhai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

jab naya mahina aata hai to

bijli ka bil aa jata hai

haalanki baadal bechaara

ye bijli muft banata hai

phir hum ne apne ghar bijli

baadal se kyun lagwai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

gar billi sher ki KHala hai

to hum ne use kyun pala hai

kya sher bahut nalaeq hai

KHala ko mar nikala hai

ya jangal ke raja ke han

kya milti dudh milai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

kyun lambe baal hain bhaalu ke

kyun us ki TunD karai nahin

kya wo bhi ganda bachcha hai

ya us ke abbu bhai nahin

ye us ka hair style hai

ya jangal mein koi nai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

jo tare jhilmil karte hain

kya un ki chachchi tai nahin

hoga koi rishta suraj se

ye baat hamein batlai nahin

ye chanda kaisa mama hai

jab ammi ka wo bhai nahin

ye baat samajh mein aai nahin

(2735) Peoples Rate This

Ahmad Hatib Siddiqi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin In English By Famous Poet Ahmad Hatib Siddiqi. Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin is written by Ahmad Hatib Siddiqi. Read famous Poem Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin for youth and Student by Ahmad Hatib Siddiqi. Free Download Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin in PDF.