KhaDe Hain Musa UThao Parda Dikhao Tum Aab-o-tab-e-ariz

khaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz

hijab kyun hai ki KHud tajalli bani hui hai hijab-e-ariz

na ruk sakegi ziya-e-ariz jo sadd-e-rah ho naqab-e-ariz

wo hogi be-parda rakh ke parda ghazab ki chanchal hai tab-e-ariz

chhupa na munh donon hath se yun taDapti hai barq-e-tab-e-ariz

laga na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztirab-e-ariz

jo un ko lipTa ke gal chuma haya se aane laga pasina

hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyun kar sharab-e-ariz

pari jo dekhe kahe taDap kar jo hur dekhe kahe phaDak kar

tumhaara gesu jawab-e-gesu tumhaara aariz jawab-e-ariz

huzur ghunghaT uTha ke aaen baDi chamak kis mein hai dikhaen

idhar rahe aaftab-e-mahshar udhar rahe aaftab-e-ariz

chhupana kya ek ka tha manzur aaj tak hain jo chaar mashhur

zabur tauret mushaf injil panchwin hai kitab-e-ariz

na kyun ho dawa barabari ka wahan mila til yahan suwaida

ye nuqta-e-intiKHab-e-ariz hai wo nuqta-e-intiKHab-e-ariz

paDa hun ghash mein mujhe sungha do pasina chehre ka zulf ki bu

nahin hai kam laKHlaKHe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulab-e-ariz

jo shoala-ru munh chhupa ke nikla dhuan sar-e-rah kuchh kuchh uTTha

lagi wo aatish bane hai jal kar naqab-e-ariz kabab-e-ariz

na jhepo subh-e-visal dekho tum aankh se aankh to milao

liye hain gin gin ke main ne bose zaban par hai hisab-e-ariz

karo na ghusse se lal chehra bhawon mein Dalo na bal KHudara

nahin majal-e-jalal-e-abru nahin hai tab-e-itab-e-ariz

jo gal par gal hum rakhenge shab-e-visal un ke hath uThenge

tamanche marenge pyar se wo bajengge chang-o-rubab-e-ariz

kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visal mein lutf de raha hai

shabab-e-zanu shabab-e-bazu shabab-e-sina shabab-e-ariz

janab-e-'mail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hoga kaamil

paDhao quran ke badle is ko bayaz-e-gardan kitab-e-ariz

(1074) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhaDe Hain Musa UThao Parda Dikhao Tum Aab-o-tab-e-ariz In English By Famous Poet Ahmad Husain Mail. KhaDe Hain Musa UThao Parda Dikhao Tum Aab-o-tab-e-ariz is written by Ahmad Husain Mail. Read famous Poem KhaDe Hain Musa UThao Parda Dikhao Tum Aab-o-tab-e-ariz for youth and Student by Ahmad Husain Mail. Free Download KhaDe Hain Musa UThao Parda Dikhao Tum Aab-o-tab-e-ariz in PDF.