Koi Hasin Hai MuKHtar-e-kar-KHana-e-ishq

koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq

ki la-makan hi ki chaukhaT hai aastana-e-ishq

nigahen DhunDh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq

ishaare puchh rahe hain kahan hai KHana-e-ishq

phirenge hashr mein gard-e-dil-e-yagana-e-ishq

karenge pesh-e-KHuda hum tawaf-e-KHana-e-ishq

nai sada ho nae honTh hon naya lahja

nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq

jo maulwi hain wo likkhenge kufr ke fatwe

sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq

agar lage to lage choT mere nale ki

agar paDe to paDe dil pe taziyana-e-ishq

jo Dal den use patthar pe bhi phale-phule

daraKHt-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq

tumhin kaho jo luTa den to kaun KHali ho

KHazana husn ka afzun hai ya KHazana-e-ishq

wo raat aae ki sar tera le ke bazu par

tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq

wo dar tak aate nahin dar se hum nahin uThte

udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq

sikhai kis ne ye raftar mere nale ko

kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq

kisi ko pyar karega shabab mein tu bhi

tere bhi ghar mein jalega charagh-e-KHana-e-ishq

jo KHush-nawis mile koi denge dil apna

hum is kitab mein likhwaenge fasana-e-ishq

gae hain wo meri mahfil mein bhul kar rumal

ye ja-namaz bichha kar paDhun dogana-e-ishq

kisi ke husn ne kafir bana diya 'mail'

laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-KHana-e-ishq

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Hasin Hai MuKHtar-e-kar-KHana-e-ishq In English By Famous Poet Ahmad Husain Mail. Koi Hasin Hai MuKHtar-e-kar-KHana-e-ishq is written by Ahmad Husain Mail. Read famous Poem Koi Hasin Hai MuKHtar-e-kar-KHana-e-ishq for youth and Student by Ahmad Husain Mail. Free Download Koi Hasin Hai MuKHtar-e-kar-KHana-e-ishq in PDF.