Mahshar Mein Chalte Chalte Karunga Ada Namaz

mahshar mein chalte chalte karunga ada namaz

paDh lunga pul-siraat pe 'mail' qaza namaz

sar jae umr bhar ki ho yarab ada namaz

aae meri qaza to paDhun main qaza namaz

mangi najat hijr se to maut aa gai

roze gale paDe jo chhuDane gaya namaz

dekho ki phans na jaen farishte bhi jal mein

kyun paDh rahe ho khol ke zulf-e-rasa namaz

har ek sutun KHana-e-shar-e-sharif hai

roza ho ya zakat ho ya haj ho ya namaz

ye kyun KHamida hai sifat-e-sahab-e-ruku

kya paDh rahi hai dosh pe zulf-e-dota namaz

niyyat jo bandh li to chala main huzur mein

rahbar meri namaz meri rahnuma namaz

saqi qayam se ye jo aaya rukua mein

shisha KHuda ke KHauf se paDhta hai kya namaz

uTh uTh ke baiTh baiTh ke karta hai kyun ghurur

zahid kahin baDhae na teri riya namaz

arkan yaad hain mujhe ai dawar-e-jaza

gar hukm ho to samne paDh lun qaza namaz

shaitan ban gaya hai farishta ghurur se

kya faeda hua jo paDhi ja-ba-ja namaz

le jate hain mujhe su-e-dozaKH kashan kashan

roze mere idhar hain udhar hai qaza namaz

haqq-ul-yaqin ka nam uruj-e-maqam hai

paDhte hain auliya sar-e-dosh-e-hawa namaz

masjid mein panch waqt dua wo bhi wasl ki

'mail' buton ke waste paDhte ho kya namaz

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahshar Mein Chalte Chalte Karunga Ada Namaz In English By Famous Poet Ahmad Husain Mail. Mahshar Mein Chalte Chalte Karunga Ada Namaz is written by Ahmad Husain Mail. Read famous Poem Mahshar Mein Chalte Chalte Karunga Ada Namaz for youth and Student by Ahmad Husain Mail. Free Download Mahshar Mein Chalte Chalte Karunga Ada Namaz in PDF.