Kyun Shauq BaDh Gaya Ramazan Mein Singar Ka

kyun shauq baDh gaya ramazan mein singar ka

roza na TuT jae kisi roza-dar ka

un ka wo shoKHiyon se phaDakna palang par

wo chhatiyon pe loTna phulon ke haar ka

hur aae KHuld se to biThaun kahan use

aarasta ho ek to kona mazar ka

shishon ne tarz uDai ruku o qayam ki

kya in mein hai lahu kisi parhez-gar ka

kyun ghash hue kalim tajalli-e-tur par

wo ek charagh tha mere dal ke mazar ka

baad-e-fana bhi saf nahin dil raqib se

gumbad khaDa hua hai lahad par ghubar ka

kasrat ka rang shahid-e-wahdat ka hai banaw

wo ek hi se nam hai hazda hazar ka

naqus bin ke puchhne jaun agar mizaj

but bhi kahenge shukr hai parwardigar ka

dulha ki ye baraat hai rasmen ada karo

dar par janaza aaya hai ek jaan-nisar ka

kya kya taDap taDap ke sarafil gir paDe

dam aa gaya jo sur mein mujh be-qarar ka

surma ke sath phail ke kya wo bhi miT gaya

kyun nam tak nahin teri aankhon mein pyar ka

kya raat se kisi ki nazar lag gai ise

achchha nahin mizaj dil-e-be-qarar ka

aankhen meri faqir huin shauq-e-did mein

tasma kamar mein hai nigah-e-intizar ka

luTun maze jo bazi-e-shatranj jit lun

is khel mein to wada hai bos-e-kanar ka

allah mera ghafur mohammad mere shafia

'mail' ko KHauf kuchh nahin roz-e-shumar ka

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Shauq BaDh Gaya Ramazan Mein Singar Ka In English By Famous Poet Ahmad Husain Mail. Kyun Shauq BaDh Gaya Ramazan Mein Singar Ka is written by Ahmad Husain Mail. Read famous Poem Kyun Shauq BaDh Gaya Ramazan Mein Singar Ka for youth and Student by Ahmad Husain Mail. Free Download Kyun Shauq BaDh Gaya Ramazan Mein Singar Ka in PDF.