Zamzama Nala-e-bulbul Thahre

zamzama nala-e-bulbul Thahre

main jo fariyaad karun ghul Thahre

naghma-e-kun ke karishme dekho

kahin qum qum kahin qulqul Thahre

jal mein katib-e-amal phansen

dosh par aa ke jo kakul Thahre

raat din rahti hai gardish un ko

chand suraj qadah-e-mul Thahre

mera kahna tera sunna malum

jumbish-e-lab hi agar gul Thahre

jaan kar bhi wo na jaanen mujh ko

aarifana hi tajahul Thahre

aashiqi mein ye tanazzul kaisa

aap hum kyun gul-o-bulbul Thahre

tujh pe khul jae jo raaz-e-hama-ust

falsafi dur o tasalsul Thahre

aankh se aankh mein paigham aae

gar nigahon ka tawassul Thahre

khul gai be-hamagi ba-hamagi

kul main jab mahw hue kul Thahre

dil se dil baat kare aankh se aankh

aashiqi ka jo tawassul Thahre

kyun na firdaus mein jae 'mail'

jab mohammad ka tawassul Thahre

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamzama Nala-e-bulbul Thahre In English By Famous Poet Ahmad Husain Mail. Zamzama Nala-e-bulbul Thahre is written by Ahmad Husain Mail. Read famous Poem Zamzama Nala-e-bulbul Thahre for youth and Student by Ahmad Husain Mail. Free Download Zamzama Nala-e-bulbul Thahre in PDF.