AaKHirul-amr Teri Samt Safar Karte Hain

aaKHirul-amr teri samt safar karte hain

aaj is naKHl-e-masafat ko shajar karte hain

jo hai aabaad teri aaina-samani se

hum isi KHana-e-hairat mein basar karte hain

dil to wo peT ka halka hai ki bas kuchh na kaho

apni haalat se kab aison ko KHabar karte hain

wasl aur hijr hain donon hi miyan se baiat

dekhiye kis pe inayat ki nazar karte hain

dil ne kuchh zor dikhaya to ye sunna ek din

hum bhi alwand-e-gham-e-yar ko sar karte hain

tum ko to din ki bhi fikr hai duniya ki bhi

bhai hum to yunhi bekar basar karte hain

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHirul-amr Teri Samt Safar Karte Hain In English By Famous Poet Ahmad Javed. AaKHirul-amr Teri Samt Safar Karte Hain is written by Ahmad Javed. Read famous Poem AaKHirul-amr Teri Samt Safar Karte Hain for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download AaKHirul-amr Teri Samt Safar Karte Hain in PDF.