Aansu Ki Tarah Dida-e-pur-ab Mein Rahna

aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna

har gam mujhe KHana-e-sailab mein rahna

wo abru-e-KHamdar nazar aae to samjhe

aankhon ki tarah saya-e-mehrab mein rahna

ghaflat hi mein kaTte hain shab-o-roz hamare

har aan kisi dhyan kisi KHwab mein rahna

din bhar kisi diwar ke sae mein tag-o-taz

shab justuju-e-chadar-e-mahtab mein rahna

virana-e-duniya mein guzarte hain mere din

raaton ko rawaq-e-dil-e-betab mein rahna

miTTi to har ek haal mein miTTi hi rahegi

kya TaT mein kya qaqum o sanjab mein rahna

ghar aur bayaban mein koi farq nahin hai

lazim hai magar ishq ke aadab mein rahna

ek pal ko bhi aankhen na lagin KHana-e-dil mein

har lamha nigahbani-e-asbab mein rahna

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu Ki Tarah Dida-e-pur-ab Mein Rahna In English By Famous Poet Ahmad Javed. Aansu Ki Tarah Dida-e-pur-ab Mein Rahna is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Aansu Ki Tarah Dida-e-pur-ab Mein Rahna for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Aansu Ki Tarah Dida-e-pur-ab Mein Rahna in PDF.