Dil-e-betab Ke Hamrah Safar Mein Rahna

dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna

hum ne dekha hi nahin chain se ghar mein rahna

swang bharna kabhi shahi kabhi durweshi ka

kisi surat se mujhe us ki nazar mein rahna

ek haalat pe basar ho nahin sakti meri

jama-e-KHak kabhi KHilat-e-zar mein rahna

din mein hai fikr-e-pas-andazi-e-sarmaya-e-shab

raat bhar kawish-e-saman-e-sahar mein rahna

dil se bhage to liya dida-e-tar ne goya

aag se bach ke nikalna to bhanwar mein rahna

ahl-e-duniya bahut aaram se rahte hain magar

kab mayassar hai teri rahguzar mein rahna

wasl ki raat gai hijr ka din bhi guzra

mujhe waraftagi-e-haal-e-digar mein rahna

kar chuka hai koi aflak o zamin ki takmil

phir bhi har aan mujhe arz-e-hunar mein rahna

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-betab Ke Hamrah Safar Mein Rahna In English By Famous Poet Ahmad Javed. Dil-e-betab Ke Hamrah Safar Mein Rahna is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Dil-e-betab Ke Hamrah Safar Mein Rahna for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Dil-e-betab Ke Hamrah Safar Mein Rahna in PDF.