Dil Aaina Hai Magar Ek Nigah Karne Ko

dil aaina hai magar ek nigah karne ko

ye ghar banaya hai us ne tabah karne ko

gul-e-visal abhi dekha na tha ki aa pahunchi

shab-e-firaq bhi aankhen siyah karne ko

galim o taKHt utare hain ghaib se us ne

mujhe faqir tujhe baadshah karne ko

saje hain dasht o bayaban ajab qarine se

tujhe sawar mujhe gard-e-rah karne ko

mili mujhe teri ham-saegi so duniya mein

tamiz-e-martaba-e-koh-o-kah karne ko

damida har shajar-e-gard-baad naKHl-e-junun

hamare chaak-e-gareban se rah karne ko

Dil-e-gudaKHta o chashm-e-tar hi kafi hai

futuh-e-mamlikat-e-mehr-o-mah karne ko

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Aaina Hai Magar Ek Nigah Karne Ko In English By Famous Poet Ahmad Javed. Dil Aaina Hai Magar Ek Nigah Karne Ko is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Dil Aaina Hai Magar Ek Nigah Karne Ko for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Dil Aaina Hai Magar Ek Nigah Karne Ko in PDF.