Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum

chaak karte hain gareban is farawani se hum

roz KHilat pate hain darbar-e-uryani se hum

muntaKHab karte hain maidan-e-shikast apne liye

KHak par girte hain lekin auj-e-sultani se hum

hum zamin-e-qatl-gah par chalte hain sine ke bal

jada-e-shamshir sar karte hain peshani se hum

han miyan duniya ki cham-KHam KHub hai apni jagah

ek zara ghabra gae hain dil ki virani se hum

zof hai had se ziyaada lekin is ke bawajud

zindagi se hath uTha sakte hain aasani se hum

dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin

dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum

daulat-e-duniya kahan rakkhen jagah bhi ho kahin

bhar chuke hain apna ghar be-saz-o-samani se hum

zarra zarra jagmagati jalwa-barani-e-dost

dekhte hain rauzan-e-diwar hairani se hum

aql walo KHair jaane do nahin samjhoge tum

jis jagah pahunche hain rah-e-chaak-damani se hum

karobar-e-zindagi se ji churaate hain sabhi

jaise durweshi se tum maslan jahanbani se hum

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum In English By Famous Poet Ahmad Javed. Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum in PDF.