Gae The Wahan Ji Mein Kya Than Kar Ke

gae the wahan ji mein kya Than kar ke

chale aae iran turan kar ke

agar dil ka bil-farz gul nam paD jae

to phir hai ye sina gulistan kar ke

diya hum ne dil un pari-chehragan ko

zaru-e-qayas aadmi jaan kar ke

ye duniya hamein KHush na aaegi phir bhi

rahen KHwah KHud ko sulaiman kar ke

tere gham mein jis se mizha tar karun hun

wo ek qatra hai qulzumistan kar ke

dikha hi diya aaKHirash ahl-e-dil ne

isi dane se khet khaliyan kar ke

ye kya chiz tamir karne chale ho

bina-e-mohabbat ko viran kar ke

miyan hum to 'jawed' ko le gae the

diya hi nahin us ne pahchan kar ke

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gae The Wahan Ji Mein Kya Than Kar Ke In English By Famous Poet Ahmad Javed. Gae The Wahan Ji Mein Kya Than Kar Ke is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Gae The Wahan Ji Mein Kya Than Kar Ke for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Gae The Wahan Ji Mein Kya Than Kar Ke in PDF.