Hamari Ham-nafasi Ko Bhi Kya Dawam Hua

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

wo abr-e-surKH to main naKHl-e-intiqam hua

yahin se mere adu ka KHamir uTTha tha

zamin dekh ke main tegh-e-be-niyam hua

KHabar nahin hai mere baadshah ko shayad

hazar martaba aazad ye ghulam hua

ajab safar tha ajab-tar musafirat meri

zamin shuru hui aur main tamam hua

wo kahili hai ki dil ki taraf se ghafil hain

KHud apne ghar ka bhi hum se na intizam hua

hui hai KHatm dar-o-baam ki kam-asbabi

mayassar aaj wo saman-e-inhidam hua

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Ham-nafasi Ko Bhi Kya Dawam Hua In English By Famous Poet Ahmad Javed. Hamari Ham-nafasi Ko Bhi Kya Dawam Hua is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Hamari Ham-nafasi Ko Bhi Kya Dawam Hua for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Hamari Ham-nafasi Ko Bhi Kya Dawam Hua in PDF.