Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya

kisi ka dhyan mah-e-nim-mah mein aaya

safar ki raat thi aur KHwab rah mein aaya

tulu-e-saat-e-shab-KHun hai aur mera dil

kisi sitara-e-bad ki nigah mein aaya

mah o sitara se dil ki taraf chala wo jawan

adu ki qaid se apni sipah mein aaya

jihad-e-gham mein koi sust zarb meri tarah

giraft-e-maisara-e-ashk-o-ah mein aaya

sitare Dub gae aur wo sitara-gar

thakan se chur zamin ki panah mein aaya

charagh hai meri raaton ka ek KHwab-e-visal

jo koi pal teri chashm-e-siyah mein aaya

dukhi dilon ki salami qubul karte hue

nazar jhukae koi KHanqah mein aaya

(937) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya In English By Famous Poet Ahmad Javed. Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Kisi Ka Dhyan Mah-e-nim-mah Mein Aaya in PDF.