Uske Lahje Ka Wo Utar ChaDhao

us ke lahje ka wo utar chaDhao

raat ki narm rau nadi ka bahao

us ki aankhon ke wasf kya likkhun

jaise KHwabon ka be-karan Thahrao

un nigahon ki guftugu mein hai

nind mein gum hawaon ka uljhao

us badan ki nazakaten mat puchh

shisha-e-gul mein chand ka lahrao

nind ki wadiyon mein pichhle pahar

ek lai ek naghma ek alao

aisi tanhai ka mudawa kya

sat dariyaon mein akeli naw

un labon ki wo bosa bosa uThan

aur palkon ka nashsha nashsha jhukao

us gali us dayar ki KHush-bu

ai subuk-sair narm-gam hawao

naujawani mein maut ki KHwahish

tum hi samjha sako to kuchh samjhao

jaane wo ghuncha kis chaman ka hai

jis mein gum hai bahaar ka phailao

raat kahti hai mujh ko pyar se dekh

mujh mein hai chashm-e-yar ka gahrao

shola-e-jaan hai bujhne ko 'jawed'

aur dil mein dahak raha hai alao

(1211) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Lahje Ka Wo Utar ChaDhao In English By Famous Poet Ahmad Javed. Uske Lahje Ka Wo Utar ChaDhao is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Uske Lahje Ka Wo Utar ChaDhao for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Uske Lahje Ka Wo Utar ChaDhao in PDF.