Aandhi Ka Rajaz

sannaTon ki tah mein ghasibana raftar se baDhta hua

kisi masruqa raaz ka dabiz KHala

aur us mein tezi se gardish karta hua

ek jila-watan sayyara

kisi ujaD kahkashan ko na chhoDne par musir

raushni ki baqi-manda aawaz

aur shikasta aafaq ke KHakistari gahrao mein

suraj ke fauri ghayab ke

miTte hue aasar

mujhe bachana hai

us kaenati wirse ko

sarabon ki tezabi phunkar ke sath

zalzalon ki jalti piTh ko Dhaal bana kar

aur aag ke fawware ki kumak le kar

jo kisi qadim sayaf ki

pur-KHarash niyam mein mahbus hai

us la-mutanahi KHarabe ke liye

mujhe ijad karni hai ek nai bahaar

maut ki mayus aur muzmahil ghazab-naki ko

waqt ke ghair-mutawazin bojh se taDKHi hui zaminon par

az-sar-e-nau baalida kar ke

adhure sayon ke ghol

tariKH ke aasebi chhakDe ko

be-parwai aur anaDi-pan se khinchte hain

sayyaron ki guzargahen

bhurnhuri aur mukaddar ho gai hain

kaenat ke munh par

kharonche paD gae hain

siyasi jitne gahre adam jitne lambe

raund mein aai hui pili pattiyon ki tarah

sitare aasman par lip diye gae hain

un ki martub jhilmilahaT andheron ko uksati hai

aur nahusaton ka hausla baDhati hai

main hazaron nuri baras ke raqbe ko

zaman o makan ki narawa amal-dari se

nikalne ke liye uThi hun

pighle hue faulad ke fawware ki tarah

ek pur-ghubar mismari ek KHar-dar duKHani uThan ke sath

bani-nau-e-insan

tumhaare liye yahi behtar hai ki

jarsumon ki tarah meri aankh se ojhal raho

meri rah mein apne shahr aur virane mat bichhao

warna mujhe ghussa ya hansi aa jaegi

aur ye tughyani pahaD aur tinke ko hum wazn jaanti hai

ai hasharaat-ul-arz! mere pair bahut baDe hain

kahin aisa na ho ki tumhaari zamin

KHashKHash ke dane ki tarah

mere kaf-e-pa se chipak jae

aur mujhe pata bhi na chale

(1357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aandhi Ka Rajaz In English By Famous Poet Ahmad Javed. Aandhi Ka Rajaz is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Aandhi Ka Rajaz for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Aandhi Ka Rajaz in PDF.