Ek Surma Ke Nam

aane wale din ke aaKHir par

suraj TuTi hui Dhaal ki tarah

ufuq par chaspan ek hunut kiya hua sar

kisi surma ka

jo waqt se haar gaya!

bagule aisi hawa aur ek ranga hua ghoDa

lahu-luhan dil hamesha ghaD leta hai ek duniya apne liye

mohabbat kahin ziyaada saffak hai nafrat se

kyun-ki ye achhuti aur ujli hai

us sitare ki tarah

jo kanda hai ek muqaddas qurban-gah ki chhat par

zindagi! hasht!

han magar maut ek pul hai shikasta aur charcharaata

abdiyat ke bojh-tale

kahan hai tumhaara rath jo

tariKH se ziyaada tez chalta hai

aur kahan hai tumhaara jhanDa

jis ka saya

zamin par nahin paDta

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Surma Ke Nam In English By Famous Poet Ahmad Javed. Ek Surma Ke Nam is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Ek Surma Ke Nam for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Ek Surma Ke Nam in PDF.