Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun

tanhai se bachaw ki surat nahin karun

mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun

su-e-falak hawai safar hai to kya hua

Dar jaun mahtab ki surat nahin karun

aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue

pi jaun kya KHayal-e-shariat nahin karun

qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi

kho jaun kya KHuda ki ibaadat nahin karun

jab tai hua ki raushni parwardigar hai

pahlu bachaun us ki itaat nahin karun

bazm-e-suKHan-taraaz mein nakaam hon to kya

chillaun apne fan ki hifazat nahin karun

wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas

bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun In English By Famous Poet Ahmad Kamal Parwazi. Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun is written by Ahmad Kamal Parwazi. Read famous Poem Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun for youth and Student by Ahmad Kamal Parwazi. Free Download Tanhai Se Bachaw Ki Surat Nahin Karun in PDF.