Fana Ke Dasht Mein Kab Ka Utar Gaya Tha Main

fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main

tumhaara sath na hota to mar gaya tha main

kisi ke dast-e-hunar ne mujhe sameT liya

wagarna pat ki surat bikhar gaya tha main

wo KHush-jamal chaman se guzar ke aaya to

mahak uThe the gulab aur nikhar gaya tha main

koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir

kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main

(615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Ke Dasht Mein Kab Ka Utar Gaya Tha Main In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Fana Ke Dasht Mein Kab Ka Utar Gaya Tha Main is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Fana Ke Dasht Mein Kab Ka Utar Gaya Tha Main for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Fana Ke Dasht Mein Kab Ka Utar Gaya Tha Main in PDF.