Falak Ke Rang Zamin Par Utarta Hua Main

falak ke rang zamin par utarta hua main

tamam KHalq ko hairat se marta hua main

do chaar sans mein jita hun ek arse tak

zara se waqt mein sadiyan guzarta hua main

jo mere samne hai aur dil-o-dimagh mein bhi

chahaar-samt usi ko pukarta hua main

mere nuqush pe kari-gari ruki hui hai

shikasta chaak se KHud ko utarta hua main

tumhaari jit mein pinhan hai meri jit kahin

tumhaare samne har bar haarta hua main

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Ke Rang Zamin Par Utarta Hua Main In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Falak Ke Rang Zamin Par Utarta Hua Main is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Falak Ke Rang Zamin Par Utarta Hua Main for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Falak Ke Rang Zamin Par Utarta Hua Main in PDF.