Junun Ko RaKHt Kiya KHak Ko Libaada Kiya

junun ko raKHt kiya KHak ko libaada kiya

main dasht dasht bhaTakne ka jab irada kiya

main nasehan ki sunta hun aur Talta hun

so qurb-e-husn chhuTa aur na tark-e-baada kiya

mahakte phul sitare damakta chand dhanak

tere jamal se kitnon ne istifada kya

hazar rang mein jalwa-numa tha husn-o-jamal

dil aur shoKH hua us ko jitna sada kiya

wo de raha tha talab se siwa sabhi ko 'KHayal'

so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ko RaKHt Kiya KHak Ko Libaada Kiya In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Junun Ko RaKHt Kiya KHak Ko Libaada Kiya is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Junun Ko RaKHt Kiya KHak Ko Libaada Kiya for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Junun Ko RaKHt Kiya KHak Ko Libaada Kiya in PDF.