Main Band Aankhon Se Kab Talak Ye Ghubar Dekhun

main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun

koi to manzar siyah dariya ke par dekhun

kabhi wo aalam ki us taraf aankh hi na uTThe

kabhi ye haalat ki us ko diwana-war dekhun

ye kaisa KHun hai ki bah raha hai na jam raha hai

ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun

ye sari be-manzari sawad-e-sukut se hai

sada wo chamke to dhund ke aar-par dekhun

tere siwa bhi hazar manzar hain dekhne ko

tujhe na dekhun to kyun tera intizar dekhun

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Band Aankhon Se Kab Talak Ye Ghubar Dekhun In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Main Band Aankhon Se Kab Talak Ye Ghubar Dekhun is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Main Band Aankhon Se Kab Talak Ye Ghubar Dekhun for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Main Band Aankhon Se Kab Talak Ye Ghubar Dekhun in PDF.