Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga

nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga

main palaT ke ab kisi haal mein nahin aaunga

meri ibtida meri intiha kahin aur hai

main shumara-e-mah-o-sal mein nahin aaunga

abhi ek azab se hai safar ek azab tak

abhi rang-e-sham-e-zawal mein nahin aaunga

wahi haalaten wahi suraten hain nigah mein

kisi aur surat-e-haal mein nahin aaunga

mujhe qaid karne ki zahmaten na uThaiye

nahin aaunga kisi jal mein nahin aaunga

main KHayal-o-KHwab hisar se bhi nikal chuka

so kisi ke KHwab-o-KHayal mein nahin aaunga

na ho bad-guman meri dad-KHwahi-e-hijr se

meri jaan main shauq-e-visal mein nahin aaunga

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga in PDF.