Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum

phenkte sang-e-sada dariya-e-virani mein hum

phir ubharte daera-dar-daera pani mein hum

ek zara yunhi basar kar len giran-jaani mein hum

phir tumhein sham-o-sahar rakkhenge hairani mein hum

ek hawa aaKHir uDa hi le gai gard-e-wajud

sochiye kya KHak the us ki nigahbani mein hum

wo to kahiye dil ki kaifiyyat hi aaina na thi

warna kya kya dekhte is ghar ki virani mein hum

mahw-e-hairat the ki be-mausam nadi payab thi

bas khaDe dekha kiye utre nahin pani mein hum

us se milna aur bichhaDna der tak phir sochna

kitni dushwari ke sath aae the aasani mein hum

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Phenkte Sang-e-sada Dariya-e-virani Mein Hum in PDF.