Raqs-e-sharar Kya Ab Ke Wahshat-nak Hua

raqs-e-sharar kya ab ke wahshat-nak hua

jalte jalte sab kuchh jal kar KHak hua

sab ko apni apni paDi thi puchhte kya

kaun wahan bach nikla kaun halak hua

mausam-e-gul se fasl-e-KHizan ki duri kya

aankh jhapakte sara qissa pak hua

kin rangon is surat ki tabir karun

KHwab-nadi mein ek shola pairak hua

nadan ko aaina hi ayyar kare

KHud mein ho kar wo kaisa chaalak hua

tariki ke raat azab hi kya kam the

din nikla to suraj bhi saffak hua

dil ki aankhen khol ke rah chalo 'mahfuz'

dekho kya kya aalam zer-e-KHak hua

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs-e-sharar Kya Ab Ke Wahshat-nak Hua In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Raqs-e-sharar Kya Ab Ke Wahshat-nak Hua is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Raqs-e-sharar Kya Ab Ke Wahshat-nak Hua for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Raqs-e-sharar Kya Ab Ke Wahshat-nak Hua in PDF.