Sar-ba-sar Paikar-e-izhaar Mein Lata Hai Mujhe

sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe

aur phir KHud hi tah-e-KHak chhupata hai mujhe

kab se sunta hun wahi ek sada-e-KHamosh

koi to hai jo bulandi se bulata hai mujhe

raat aankhon mein meri gard-e-siyah Dal ke wo

farsh-e-be-KHwabi-e-wahshat pe sulata hai mujhe

gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein

dekhta hun wo kidhar DhunDne jata hai mujhe

didani hai ye tawajjoh bhi ba-andaz-e-sitam

umr bhar shisha-e-KHali se pilata hai mujhe

hama-andesha-e-girdab ba-pahlu-e-nashat

mauj-dar-mauj hi sahil nazar aata hai mujhe

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-ba-sar Paikar-e-izhaar Mein Lata Hai Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Sar-ba-sar Paikar-e-izhaar Mein Lata Hai Mujhe is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Sar-ba-sar Paikar-e-izhaar Mein Lata Hai Mujhe for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Sar-ba-sar Paikar-e-izhaar Mein Lata Hai Mujhe in PDF.