Sawad-e-sham Na Rang-e-sahar Ko Dekhte Hain

sawad-e-sham na rang-e-sahar ko dekhte hain

bas ek sitara-e-wahshat-asar ko dekhte hain

kisi ke aane ki jis se KHabar bhi aati nahin

na jaane kab se usi rahguzar ko dekhte hain

KHuda-gawah ki aaina-e-nafas hi mein hum

KHud apni zindagi-e-muKHtasar ko dekhte hain

to kya bas ek Thikana wahi hai duniya mein

wo dar nahin to kisi aur dar ko dekhte hain

suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'

to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawad-e-sham Na Rang-e-sahar Ko Dekhte Hain In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Sawad-e-sham Na Rang-e-sahar Ko Dekhte Hain is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Sawad-e-sham Na Rang-e-sahar Ko Dekhte Hain for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Sawad-e-sham Na Rang-e-sahar Ko Dekhte Hain in PDF.