Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin

ab wo galiyan wo makan yaad nahin

kaun rahta tha kahan yaad nahin

jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar

jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin

koi ujla sa bhala sa ghar tha

kis ko dekha tha wahan yaad nahin

yaad hai zina-e-pechan us ka

dar-o-diwar-e-makan yaad nahin

yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar

shor-e-awaz-e-KHizan yaad nahin

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin in PDF.