Ajab Nahin Kabhi Naghma Bane Fughan Meri

ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri

meri bahaar mein shamil hai ab KHizan meri

main apne aap ko auron mein rakh ke dekhta hun

kahin fareb na hon dard-mandiyan meri

main apni quwwat-e-izhaar ki talash mein hun

wo shauq hai ki sambhalti nahin zaban meri

yahi sabab hai ki ahwal-e-dil nahin kahta

kahun to aur ulajhti hain gutthiyan meri

main apne ijz pe nadim nahin hun ham-suKHano

hazar shukr tabiat nahin rawan meri

(1196) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Nahin Kabhi Naghma Bane Fughan Meri In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ajab Nahin Kabhi Naghma Bane Fughan Meri is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ajab Nahin Kabhi Naghma Bane Fughan Meri for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ajab Nahin Kabhi Naghma Bane Fughan Meri in PDF.