Bhagne Ka Koi Rasta Nahin Rahne Dete

bhagne ka koi rasta nahin rahne dete

koi dar koi daricha nahin rahne dete

aasman par se miTa dete hain taron ka suragh

ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne dete

koi taswir mukammal nahin hone pati

dhup dete hain to saya nahin rahne dete

pahle bhar dete hain saman-e-do-alam dil mein

phir kisi shai ki tamanna nahin rahne dete

shahr-e-koran mein bhi aaina farosh aate hain

be-tajalli koi qarya nahin rahne dete

tur-e-sina ho ki aatish-kada-e-soz-e-nihan

rakh rah jati hai shoala nahin rahne dete

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhagne Ka Koi Rasta Nahin Rahne Dete In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Bhagne Ka Koi Rasta Nahin Rahne Dete is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Bhagne Ka Koi Rasta Nahin Rahne Dete for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Bhagne Ka Koi Rasta Nahin Rahne Dete in PDF.