Baras Kar Khul Gaya Abr-e-KHizan Aahista Aahista

baras kar khul gaya abr-e-KHizan aahista aahista

hawa mein sans lete hain makan aahista aahista

bahut arsa laga rang-e-shafaq madum hone mein

hua tarik nila aasman aahista aahista

kahin patton ke andar dhimi dhimi sarsarahaT hai

abhi hilne lagengi Daliyan aahista aahista

jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko

Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista

samaat mein abhi tak aahaTon ke phul khilte hain

koi chalta hai dil ke darmiyan aahista aahista

badal jaega mausam dard ki shaKH-e-barahana mein

nikalti aa rahi hain pattiyan aahista aahista

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baras Kar Khul Gaya Abr-e-KHizan Aahista Aahista In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Baras Kar Khul Gaya Abr-e-KHizan Aahista Aahista is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Baras Kar Khul Gaya Abr-e-KHizan Aahista Aahista for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Baras Kar Khul Gaya Abr-e-KHizan Aahista Aahista in PDF.