Bahut Ruk Ruk Ke Chalti Hai Hawa Khaali Makanon Mein

bahut ruk ruk ke chalti hai hawa KHali makanon mein

bujhe TukDe paDe hain sigreTon ke rakh-danon mein

dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai

hare jangal badalte ja rahe hain kar-KHanon mein

bhali lagti hai aankhon ko nae phulon ki rangat bhi

purane zamzame bhi gunjte rahte hain kanon mein

wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho

koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein

zabanon par ulajhte doston ko kaun samjhae

mohabbat ki zaban mumtaz hai sari zabanon mein

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Ruk Ruk Ke Chalti Hai Hawa Khaali Makanon Mein In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Bahut Ruk Ruk Ke Chalti Hai Hawa Khaali Makanon Mein is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Bahut Ruk Ruk Ke Chalti Hai Hawa Khaali Makanon Mein for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Bahut Ruk Ruk Ke Chalti Hai Hawa Khaali Makanon Mein in PDF.