Bahta Aansu Ek Jhalak Mein Kitne Rup Dikhaega

bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega

aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega

bhulne wale! waqt ke aiwanon mein kaun Thaharta hai

biti sham ke darwaze par kis ko bulane aaega

aankh-micholi khel raha hai ek badli se ek tara

phir badli ki yurish hogi phir tara chhup jaega

andhiyare ke ghor-nagar mein ek kiran aabaad hui

kis ko KHabar hai pahla jhonka kitne phul khilaega

phir ek lamha aan ruka hai waqt ke sune sahra mein

pal bhar apni chhab dikhla kar lamhon mein mil jaega

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahta Aansu Ek Jhalak Mein Kitne Rup Dikhaega In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Bahta Aansu Ek Jhalak Mein Kitne Rup Dikhaega is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Bahta Aansu Ek Jhalak Mein Kitne Rup Dikhaega for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Bahta Aansu Ek Jhalak Mein Kitne Rup Dikhaega in PDF.