Chamak-damak Pe Na Jao Khari Nahin Koi Shai

chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai

siwae shaKH-e-tamanna hari nahin koi shai

dil-e-gudaz o lab-e-KHushk o chashm-e-tar ke baghair

ye ilm o fazl ye danish-wari nahin koi shai

to phir ye kashmakash-e-dil kahan se aai hai

jo dil-giraftagi o dilbari nahin koi shai

ajab hain wo ruKH o gesu ki samne jin ke

ye subh o sham ki jadugari nahin koi shai

malal-e-saya-e-diwar-e-yar ke aage

shab-e-tarab teri nilam-pari nahin koi shai

jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre

ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai

teri nazar ki gulabi hai shisha-e-dil mein

ki hum ne aur to is mein bhari nahin koi shai

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chamak-damak Pe Na Jao Khari Nahin Koi Shai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Chamak-damak Pe Na Jao Khari Nahin Koi Shai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Chamak-damak Pe Na Jao Khari Nahin Koi Shai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Chamak-damak Pe Na Jao Khari Nahin Koi Shai in PDF.