Chand Bhi Nikla Sitare Bhi Barabar Nikle

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle

sham hote hi barasne lage kale baadal

subh-dam log darichon mein khule sar nikle

kal hi jin ko teri palkon pe kahin dekha tha

raat usi tarah ke tare meri chhat par nikle

dhup sawan ki bahut tez hai dil Dubta hai

us se kah do ki abhi ghar se na bahar nikle

pyar ki shaKH to jaldi hi samar le aai

dard ke phul baDi der mein ja kar nikle

dil-e-hangama-talab ye bhi KHabar hai tujh ko

muddaten ho gain ek shaKHs ko bahar nikle

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Bhi Nikla Sitare Bhi Barabar Nikle In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Chand Bhi Nikla Sitare Bhi Barabar Nikle is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Chand Bhi Nikla Sitare Bhi Barabar Nikle for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Chand Bhi Nikla Sitare Bhi Barabar Nikle in PDF.