Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai

dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai

ab tap-e-hijr tawaqqo se bhi kam rahta hai

kabhi shoale se lapakte the mere sine mein

ab kisi waqt dhuan sa koi dam rahta hai

kya KHuda jaane mere dil ko hua tere baad

na KHushi is mein Thaharti hai na gham rahta hai

rishta-e-tar-e-tamanna nahin TuTa ab tak

ab bhi aankhon mein teri zulf ka KHam rahta hai

chhoD jati hai har ek rut koi KHushbu koi rang

na sitam rahta hai baqi na karam rahta hai

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai in PDF.