Dilon Ki Or Dhuan Sa Dikhai Deta Hai

dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai

ye shahr to mujhe jalta dikhai deta hai

jahan ki dagh hai yan aage dard rahta tha

magar ye dagh bhi jata dikhai deta hai

pukarti hain bhare shahr ki guzargahen

wo roz sham ko tanha dikhai deta hai

ye log TuTi hui kashtiyon mein sote hain

mere makan se dariya dikhai deta hai

KHizan ke zard dinon ki siyah raaton mein

kisi ka phul sa chehra dikhai deta hai

kahin mile wo sar-e-rah to lipaT jaen

bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Ki Or Dhuan Sa Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Dilon Ki Or Dhuan Sa Dikhai Deta Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Dilon Ki Or Dhuan Sa Dikhai Deta Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Dilon Ki Or Dhuan Sa Dikhai Deta Hai in PDF.