Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein

kahin ummid si hai dil ke nihan KHane mein

abhi kuchh waqt lagega use samjhane mein

mausam-e-gul ho ki patjhaD ho bala se apni

hum ki shamil hain na khilne mein na murjhane mein

hum se maKHfi nahin kuchh rahguzar-e-shauq ka haal

hum ne ek umr guzari hai hawa khane mein

hai yunhi ghumte rahne ka maza hi kuchh aur

aisi lazzat na pahunchne mein na rah jaane mein

nae diwanon ko dekhen to KHushi hoti hai

hum bhi aise hi the jab aae the virane mein

mausamon ka koi mahram ho to us se puchho

kitne patjhaD abhi baqi hain bahaar aane mein

(1479) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Nihan KHane Mein in PDF.