Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi

kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae

na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi

dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake

na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi

mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar

magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi

wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya

use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi in PDF.