KHun-e-dil Se Kisht-e-gham Ko Sinchta Rahta Hun Main

KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main

KHali kaghaz par lakiren khinchta rahta hun main

aaj se mujh par mukammal ho gaya din-e-firaq

han tasawwur mein bhi ab tujh se juda rahta hun main

tu dayar-e-husn hai unchi rahe teri fasil

main hun darwaza mohabbat ka, khula rahta hun main

sham tak khinche liye phirte hain is duniya ke kaam

subh tak farsh-e-nadamat par paDa rahta hun main

han kabhi mujh par bhi ho jata hai mausam ka asar

han kisi din shaki-e-ab-o-hawa rahta hun main

ahl-e-duniya se talluq qata hota hi nahin

bhul jaane par bhi surat-ashna rahta hun main

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun-e-dil Se Kisht-e-gham Ko Sinchta Rahta Hun Main In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. KHun-e-dil Se Kisht-e-gham Ko Sinchta Rahta Hun Main is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem KHun-e-dil Se Kisht-e-gham Ko Sinchta Rahta Hun Main for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download KHun-e-dil Se Kisht-e-gham Ko Sinchta Rahta Hun Main in PDF.