Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya

manzar-e-subh dikhane use laya na gaya

aati jati rahin shamen koi aaya na gaya

raat bistar pe khule chand mein sota tha koi

main ne chaha ki jagaun to jagaya na gaya

ek muddat use dekha use chaha lekin

wo kabhi pas se guzra to bulaya na gaya

ghere rahti thi use ek jahan ki nazren

phir jo dekha to wo us aan mein paya na gaya

sar uThate hi kaDi dhup ki yalghaar hui

do qadam bhi kisi diwar ka saya na gaya

tha muqarrar ki mulaqat rahegi us se

wo to pahuncha tha magar mujh se hi aaya na gaya

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya in PDF.