Pani Mein Aks Aur Kisi Aasman Ka Hai

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

diwar par khile hain nae mausamon ke phul

saya zamin par kisi pichhle makan ka hai

chaaron taraf hain sabz salaKHen bahaar ki

jin mein ghira hua koi mausam KHizan ka hai

sab kuchh badal gaya hai tah-e-asman magar

baadal wahi hain rang wahi aasman ka hai

dil mein KHayal-e-shahr-e-tamanna tha jis jagah

wan ab malal ek safar-e-raegan ka hai

(1650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pani Mein Aks Aur Kisi Aasman Ka Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Pani Mein Aks Aur Kisi Aasman Ka Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Pani Mein Aks Aur Kisi Aasman Ka Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Pani Mein Aks Aur Kisi Aasman Ka Hai in PDF.