Pata Ab Tak Nahin Badla Hamara

pata ab tak nahin badla hamara

wahi ghar hai wahi qissa hamara

wahi TuTi hui kashti hai apni

wahi Thahra hua dariya hamara

ye maqtal bhi hai aur kunj-e-aman bhi

ye dil ye be-nishan kamra hamara

kisi jaanib nahin khulte dariche

kahin jata nahin rasta hamara

hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'

hamare sath hai saya hamara

(1229) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Ab Tak Nahin Badla Hamara In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Pata Ab Tak Nahin Badla Hamara is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Pata Ab Tak Nahin Badla Hamara for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Pata Ab Tak Nahin Badla Hamara in PDF.