Raat Phir Rang Pe Thi Uske Badan Ki KHushbu

raat phir rang pe thi us ke badan ki KHushbu

dil ki dhaDkan thi ki uDte the lahu mein jugnu

jaise har shai ho kisi KHwab-e-faramosh mein gum

chand chamka na kisi yaad ne badla pahlu

subh ke zina-e-KHamosh pe qadmon ke gulab

sham ki band haweli mein hansi ka jadu

sehn ke sabz andhere mein damakte ruKHsar

saf bistar ke ujale mein chamakte gesu

jhilmilate rahe wo KHwab jo pure na hue

dard bedar Tapakta raha aansu aansu

(1475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Phir Rang Pe Thi Uske Badan Ki KHushbu In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Raat Phir Rang Pe Thi Uske Badan Ki KHushbu is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Raat Phir Rang Pe Thi Uske Badan Ki KHushbu for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Raat Phir Rang Pe Thi Uske Badan Ki KHushbu in PDF.