RuKHsat-e-shab Ka Saman Pahle Kabhi Dekha Na Tha

ruKHsat-e-shab ka saman pahle kabhi dekha na tha

itna raushan aasman pahle kabhi dekha na tha

dur tak phaila hua sahra nazar aaya mujhe

ek zarra bhi jahan pahle kabhi dekha na tha

didani tha mauj-e-dariya ka nashat be-panah

jalwa-e-ab-e-rawan pahle kabhi dekha na tha

ahl-e-duniya to hamesha hi se aise the magar

ishq itna na-tawan pahle kabhi dekha na tha

dil pareshan ho gaya rang-e-zawal-e-husn se

aag dekhi thi dhuan pahle kabhi dekha na tha

is qadar hairan na ho aankhon mein aansu dekh kar

tujh ko itna mehrban pahle kabhi dekha na tha

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKHsat-e-shab Ka Saman Pahle Kabhi Dekha Na Tha In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. RuKHsat-e-shab Ka Saman Pahle Kabhi Dekha Na Tha is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem RuKHsat-e-shab Ka Saman Pahle Kabhi Dekha Na Tha for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download RuKHsat-e-shab Ka Saman Pahle Kabhi Dekha Na Tha in PDF.