TuT Gaya Hawa Ka Zor Sail-e-bala Utar Gaya

TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya

sang-o-kuluKH rah gae lahar gai bhanwar gaya

wo bhi ajib daur tha dil ka chalan hi aur tha

sham hui to ji uTha subh hui to mar gaya

kis ke bandhe hue the hum daman-e-mahtab se

hum bhi udhar udhar gae chand jidhar jidhar gaya

kitne rafiq-o-ham-safar jin ki mili na kuchh KHabar

kis ke qadam uThe kidhar kaun kahan pasar gaya

bujh gai raunaq-e-badan uD gaya rang-e-pairahan

jaan umid-war-e-man waqt bahut guzar gaya

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuT Gaya Hawa Ka Zor Sail-e-bala Utar Gaya In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. TuT Gaya Hawa Ka Zor Sail-e-bala Utar Gaya is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem TuT Gaya Hawa Ka Zor Sail-e-bala Utar Gaya for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download TuT Gaya Hawa Ka Zor Sail-e-bala Utar Gaya in PDF.