Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki

ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki

koi pahchan hi baqi nahin viranon ki

apni poshak se hushyar ki KHuddam-e-qadim

dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki

sanaten phailti jati hain magar is ke sath

sarhaden TuTti jati hain gulistanon ki

dil mein wo zaKHm khile hain ki chaman kya shai hai

ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki

un ko kya fikr ki main par laga ya Duba

bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki

teri rahmat to musallam hai magar ye to bata

kaun bijli ko KHabar deta hai kashanon ki

maqbare bante hain zindon ke makanon se buland

kis qadar auj pe takrim hai insanon ki

ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht

kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-KHanon ki

(1247) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki in PDF.