Ajab Surur Mila Hai Mujhe Dua Kar Ke

ajab surur mila hai mujhe dua kar ke

ki muskuraya KHuda bhi sitara wa kar ke

gada-gadi bhi ek uslub-e-fan hai jab main ne

usi ko mang liya us se iltija kar ke

shab-e-firaq ke har jabr ko shikast hui

ki main ne subh to kar li KHuda KHuda kar ke

ye soch kar ki kabhi to jawab aaega

main us ke dar pe khaDa rah gaya sada kar ke

ye chaara-gar hain ki ek ijtima-e-bad-zauqan

wo mujh ko dekhen teri zat se juda kar ke

KHuda bhi un ko na baKHshe to lutf aa jae

jo apne-ap se sharminda hun KHata kar ke

KHud apni zat pe to e'timad puKHta hua

'nadim' yun to mujhe kya mila wafa kar ke

(1275) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Surur Mila Hai Mujhe Dua Kar Ke In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ajab Surur Mila Hai Mujhe Dua Kar Ke is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ajab Surur Mila Hai Mujhe Dua Kar Ke for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ajab Surur Mila Hai Mujhe Dua Kar Ke in PDF.