Apne Mahaul Se The Qais Ke Rishte Kya Kya

apne mahaul se the qais ke rishte kya kya

dasht mein aaj bhi uThte hain bagule kya kya

ishq mear-e-wafa ko nahin karta nilam

warna idrak ne dikhlae the raste kya kya

ye alag baat ki barse nahin garje to bahut

warna baadal mere sahraon pe umDe kya kya

aag bhaDki to dar-o-baam hue rakh ke Dher

aur dete rahe ahbab dilase kya kya

log ashiya ki tarah bik gae ashiya ke liye

sar-e-bazar tamashe nazar aae kya kya

lafz kis shan se taKHliq hua tha lekin

us ka mafhum badalte rahe nuqte kya kya

ek kiran tak bhi na pahunchi mere baatin mein 'nadim'

sar-e-aflak damakte rahe tare kya kya

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Mahaul Se The Qais Ke Rishte Kya Kya In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Apne Mahaul Se The Qais Ke Rishte Kya Kya is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Apne Mahaul Se The Qais Ke Rishte Kya Kya for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Apne Mahaul Se The Qais Ke Rishte Kya Kya in PDF.