Andaz Hu-ba-hu Teri Aawaz-e-pa Ka Tha

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

is husn-e-ittifaq pe luT kar bhi shad hun

teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha

dil rakh ho chuka to chamak aur baDh gai

ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha

is rishta-e-latif ke asrar kya khulen

tu samne tha aur tasawwur KHuda ka tha

chhup chhup ke roun aur sar-e-anjuman hansun

mujh ko ye mashwara mere dard-ashna ka tha

uTTha ajab tazad se insan ka KHamir

aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha

TuTa to kitne aaina-KHanon pe zad paDi

aTka hua gale mein jo patthar sada ka tha

hairan hun ki war se kaise bacha 'nadim'

wo shaKHs to gharib o ghayur intiha ka tha

(1426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andaz Hu-ba-hu Teri Aawaz-e-pa Ka Tha In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Andaz Hu-ba-hu Teri Aawaz-e-pa Ka Tha is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Andaz Hu-ba-hu Teri Aawaz-e-pa Ka Tha for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Andaz Hu-ba-hu Teri Aawaz-e-pa Ka Tha in PDF.